woh firaaq aur woh wisaal kahaaN?
woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN?
fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise?
zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN?
dil to dil wo dimaaGH bhee na rahaa
shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal kahaaN?
thee woh ik shaKHs ke tasavvur se
ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN?
'eisa aasaaN naheeN lahoo rona
dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN?
hamse *****a qamaar_KHaana-e-ishq
waaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN?
fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN
maiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN?
muzmahil ho gaye quwa'a 'GHalib'
wo anaasir meiN 'eitdaal kahaaN?
{Mirza ghalib}
Ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota
teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda
kabhee too na toD sakta agar oostuwaar hota
koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota
ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota
rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta
jise GHam samajh rahe ho, ye agar sharaar hota
GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai
GHam-e-ishq gar na hota, GHam-e-rozgaar hota
kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota
hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya
na kabhee janaaza uThata, na kaheeN mazaar hota
use; kauN dekh sakta ki yagaana hai wo yaktaa
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota
ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaaN 'GHalib' !
tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota
{Mirza ghalib}
baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage
ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage
juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage
hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage
mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche?
too dekh ke kya rang tera mere aage
sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage
phir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage
nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage
imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage
aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
MajnooN ko bura kehti hai Laila mere aage
KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage
hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage
go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage
ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage!
{Mirza ghalib}
yahhee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN?
royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN?
dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN
baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN?
jab woh jamaal-e-dil_faroz, soorat-e-meher-e-neem_roz
aap hee ho nazzaara_soz, parde meiN muNh chupaaye kyoN?
dashna-e-GHamza jaaN_sitaaN, naawak-e-naaz be_panaah
tera hee aks-e-ruKH sahee, saamne tere aaye kyoN?
qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN
maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN?
husn aur uspe husn_zan rah gayee bulhawas ki sharm
apne pe 'eitmaad hai, GHair ko aazmaaye kyoN?
waaN wo GHuroor-e-iz'z-o-naaz yaaN yeh hijaab-e-paas-e-waz'a
raah meiN ham mile kahaaN, bazm meiN wo bulaaye kyoN?
haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee
jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN?
'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN?
{Mirza ghalib}
Zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai
ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai
nai muzda-e-wisaal na nazzaara-e-jamaal
muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai
mai ne kiya hai, husn-e-KHud_aara ko be_hijaab
'ai shauq, yaaN ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai
gauhar ko ikd-e-gardan-e-KHubaaN meiN dekhna
kya auj par sitaara-e-gauhar_farosh hai
deedaar, waada, hausla, saaqee, nigaah-e-mast
bazm-e-KHayaal maikada-e-be_KHarosh hai
'ei taaza waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
zinhaar gar tumhaiN hawas-e-na-o-nosh hai
dekho mujhe jo deeda-e-ibrat_nigaah ho
meree suno jo gosh-e-naseehat_niyosh hai
saaqee ba_jalwa dushman-e-imaan-o-aagahee
mutrib ba_naGHma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai
ya shab ko dekhte the; ki har gosha-e-bisaat
daamaan-e-baaGHbaan-o-kaf-e-gul_farosh hai
lutf-e-KHiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang
yeh jannat-e-nigaah woh firdaus-e-gosh hai
ya subh dam jo dekhiye aakar to bazm meiN
nai woh suroor-o-soz na josh-o-KHarosh hai
daaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee
ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai
aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN
'GHalib', sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai
{Mirza ghalib}
b
dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai?
aaKHir is dard kee dawa kya hai
ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai?
maiN bhee muNh meiN zabaan rakhta hooN
kaash ! poocho ki "muddaa kya hai"?
jab ki tujh bin naheeN koee maujood
fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai
ye paree chehara log kaise haiN?
GHamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai?
shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai?
nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai?
sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN?
abr kya cheez hai, hawa kya hai?
hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheeN jaante wafa kya hai
"haaN bhala kar tera bhala hoga"
aur darvesh kee sada kya hai?
jaan tum par nisaar karta hooN
maiN naheeN jaanata duaa kya hai
maiNe maana ki kuchch naheeN 'GHalib'
muft haath aaye to bura kya hai ?
{Mirza gahlib}
Husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai
us'se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai
bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah
jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai
aur baazaar se le aaye agar TooT gaya
saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai
be_talab daiN to maza usme siwa milta hai
woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai
unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq
woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai
dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz?
ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai
ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya
jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai
qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye
kaam achchaa hai woh, jiska ma'aal achcha hai
KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz
shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai
hamko ma'aloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ke KHush rakhne ko, 'GHalib' yeh KHayaal achcha hai
{Mirza ghalib}
c
sab kahaaN kuchh laalaa-o-gul mein numaayaaN ho gayeen
Khaak men kyaa suuraten hongii ki pinhaaN ho gayeen
yaad thii hamako bhii rangaa rang bazmaaraaiiyaaN
lekin ab naqsh-o-nigaar-e-taaq-e-nisiyaaN ho gayeen
thiin banaatunnaash-e-garduuN din ko parde men nihaaN
shab ko unake jii men kyaa aaii ki uriyaaN ho gayeen
qaid men yaaquub ne lii go na yuusuf kii Khabar
lekin aaNkhen rauzan-e-diivaar-e-zindaaN ho gayeen
sab raqiibon se ho.n naaKhush, par zanaan-e-misr se
hai zulaiKhaa Khush ke mahv-e-maah-e-kanaaN ho gayeen
juu-e-KhuuN aa.Nkho.n se bahane do ki hai shaam-e-firaaq
main ye samajhuuNgaa ke shamaen ho farozaaN ho gayeen
in pariizaadon se lenge Khuld men ham intaqaam
qudarat-e-haq se yahii huuren agar waaN ho gayeen
neend usakii hai, dimaaG usakaa hai, raaten usakii hain
terii zulfen jisake baazuu par parishaaN ho gayeen
main chaman men kyaa gayaa, goyaa dabistaaN khul gayaa
bul-bulen sun kar mere naale, Gazal_KhvaaN ho gayeen
vo nigaahen kyuuN huii jaatii hain yaarab dil ke paar
jo merii kotaahii-e-qismat se mizshgaaN ho gayeen
bas ki rokaa main ne aur siine men ubharen pai ba pai
merii aahen baKhiyaa-e-chaak-e-gariibaaN ho gayeen
waaN gayaa bhii main to unakii gaaliyon kaa kyaa javaab
yaad thii jitanii duaaen, sarf-e-darbaaN ho gayeen
jaaNfizaa hai baadaa, jisake haath men jaam aa gayaa
sab lakiiren haath kii goyaa rag-e-jaaN ho gayeen
ham muvahihad hain, hamaaraa kesh hai tark-e-ruusuum
millaten jab miT gayeen, ajzaa-e-iimaaN ho gayeen
ranj se Khuugar huaa insaaN to miT jaataa hai ranj
mushkilen mujh par paDi itanii ke aasaaN ho gayeen
yuuN hii gar rotaa rahaa 'Ghalib', to ae ahl-e-jahaaN
dekhanaa in bastiyon ko tum ki viiraaN ho gayeen
{Mirza ghalib}
Na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota?
huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota
huee muddat ke 'GHalib' mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota?
{Mirza gahlib}